Saturday, May 19, 2012

-----------------------------------------------------------------------------------
Kiye the jinmein zikr tera,
Udd gaye woh kaagaz ke tukde kahan.
Na jaane ab woh waqt kahan, na jaane ab woh tukde kahan.
Chamakte the jugnu jahan,
Kho gayi javaan woh raatein kahan.
Na jaane ab woh jugnu kahan, na jaane ab woh raatein kahan.
Bheege the jinmein aansu bhi mere,
Beh gaye geele woh saavan kahan.
Na jaane ab woh aansu kahan, na jaane ab woh saavan kahan.
-----------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment