Monday, July 20, 2009

Insan....

Insan............

Kuch Hindu,kuch Isaaee,kuch Sikh toh kuch Musalman ho gaye,
Har Insan apni insaniyat yahan is kadar kho gaye.
Kuch kaagaz ke chand rupayon mein bik gaye,
Kuch mitti ki in sarhadon mein bat gaye.
Kuch papi,toh kuch dharm ke saathi ho gaye,
Aur jo baki reh gaye woh inke saaye mein yahan neta ho gaye.
Kuch jihadi toh kuch apni hi zid mein kho gaye,
Har insan yahan na jane kya ho gaye.
Ooparvale(mandir-masjid) ke batvaare mein sab is kadar doobe,
ke apni hi zindagi ke muhaavre ho gaye.
Wah re Khuda ke ae Insan hum itne gir gaye,
Bas ek Insan na rehkar hum baki sab ho gaye...